Pages

Sunday 21 December 2014

ruthi hai wo humse , apni tanhaiyaan lekar,
udas bhi hai hum idhar, uski pareshaniyaa dekhkar,

kaise batayein unhe, unme kya kya baat hai,
udas hai wo magar, fir bhi hum sath hai

banjarein nahi hum jo unke dil ko chhod de,
hamari har saanso ka hisab unke paas hai.

koshish hum karte hai,  kabhi na satayein unhe,
lekin hamari koshisho se hi shayad wo pareshan hai,

ruthi hai wo humse, fir bhi hum uske sath hai
tanha samjhti hai wo khudko, lekin hum uske paas hai.... 

No comments:

Post a Comment